yahi dua hai yahi hai salam ishq ba-KHair

Poetry

by Tehzeeb Hafii 1088 views 4

sahrā se aane vaalī havāoñ meñ ret hai

hijrat karūñgā gaañv se gaañv meñ ret hai

ai qais tere dasht ko itnī duā.eñ diiñ

kuchh bhī nahīñ hai merī duāoñ meñ ret hai

sahrā se ho ke baaġh meñ aayā huuñ sair ko

hāthoñ meñ phuul haiñ mire paañv meñ ret hai

muddat se merī aañkh meñ ik ḳhvāb hai muqīm

paanī meñ peḌ peḌ kī chhāñv meñ ret hai

mujh sā koī faqīr nahīñ hai ki jis ke paas

kashkol ret kā hai sadāoñ meñ ret hai

Comment

Leave a Comment